hindi
Nasri Ke Siwa – Amrit Dhariwal | Hindi Christian Song Lyrics
By Amrit Dhariwal
Chorus
नसरी के सिवा, मैं तो कुछ भी नहीं (2)
हो के उससे जुदा, मैं तो कुछ भी नहीं
Nasri ke siwa, main to kuch bhi nahi (2)
Ho ke usse juda, main to kuch bhi nahi
Verse 1
उसकी राहों पे चलता रहूँ उम्र भर
बीत जाए यूँ ही ज़िंदगी का सफर (2)
फ़ज़ल कर तू अता, मैं तो कुछ भी नहीं
Uski raahon pe chalta rahun umr bhar
Beet jaaye yun hi zindagi ka safar (2)
Fazl kar Tu ata, main to kuch bhi nahi
Verse 2
खाक हूँ, खाक में लौटना है मुझे
ये बदन का वतन छोड़ना है मुझे
वो ठिकाना मेरा, मैं तो कुछ भी नहीं
Khaak hun, khaak mein lautna hai mujhe
Ye badan ka watan chhodna hai mujhe
Wo thikana mera, main to kuch bhi nahi